Urdu Shayari, Shayari in Urdu, Sad Urdu Shayari

urdu shayari, shayari in urdu, sad urdu shayari, romantic urdu shayari, urdu poetry shayariDil ki mere beqarari mujhse kuchch puchcho nahi
Shab ki meri aah-o-zaari mujhse kuchh puchho nahi

Baar-e-Gham se mujhpe roz-e-hijr mein ik ik ghadi
Kya kahun hai kaisi bhaari mujhse kuchh puchcho nahi

Meri surat hi se bas maaloom kar lo ham-damon
Tum haqiqat meri saari mujhse kuchh puchho nahi

Shaam se taa-subah jo bistar pe tum bin raat ko
Maine ki akhtar-shumari mujhse kuchh puchho nahi

Ham-damon jo haal hai mera karunga gar bayaan
Hogi unki sharm-sari mujhse kuchch puchcho nahi

No comments:

Post a Comment